Anand Pokarde : An Indian National Kho Kho player
Browsing through different communities on Kho Kho, I stumbled upon well known national player of Kho Kho – Anand Pokarde . I was awestruck when he replied my message and instantly agreed that he will find some time to answer my some questions. I soon sent him mail and waited for his reply. I would love to just copy paste the whole reply to give you a real-time feeling of how the conversation went.
Jab humne unse poocha ki kya aap thoda samay nikal sakte hai humare liye taki apke bare me likhne se pehle hum apse ache se chit-parichit ho jaye. To badi hien nirmalta se unhone kaha :
“pahle to me apko dhanywad karta hu…. kho kho ko aage badhane ke liye media important hai … app ko kho kho yah prayog ke liye best wishes. Awr mai jyada se jyada answer dene ki koshish karunga apke sawaloon ka”
Apne kho kho khelna kitni umar se suru ki? awr iske piche ki kahanai kya hai?
12 sal ka tha tab sayad. kahani kuch iss prakar suru hui ki jab school me senior ko khelte huve dekha eccha hui khelne ki tab mere bhai eleven club kho kho practice k liye jata tha tab uske sath mene club join kiya.
Apne kon se kon se tournaments khele hai awr kon se awards apne jeeta ab tak
Maine sub-junior national -1, junior national -1, senior national 6, senior federation cup -5, 35thNational games Kerala, 12th South Asian Games 2016 Guwahati Assam jeeta hai
Awards: Prerana award Kolhapur, Player of the year Press club Kolhapur.
Kho kho k liye kya kya workouts hote hai.
Skill practice, running, circle warm-up etc
Ye game khelne wale baki naye khiladiyon ko aap kya tips dena chahenge?
Game enjoy karo apko sabhi players ko subhkamna hai meri.
Kho kho k alawa apko kin sports me ruchi hai.
running, swimming.
Ques. Agge saal ki apki kya plans hai kho kho k liyea
Daily Practice game improve Karna hai.
Apki daily routine kya hai?
Anand Pokarde Sir: Mornig 6.30am to 7.15 practice awr night ko 7.00pm to 9.00
Apke kiss sports person ko follow karte hai?
Sachin Tendulkar, Sayana Nehwal.
Youths ko aap kya sandesh dene chahenge sports se related.
Acchi Practice karo, Mehnat Karo, 1din kahi na kahi Kamyabi apki hogi.
Don’t give up. khudpe yakin karo Ek din manjil mil jayegi.
Anand Pokarde, kya aap ek khud ki koi interesting kahani bhi bata sakte hai kho kho se related.
SAF games ka india ka test series chal raha tha. Guwhati ke stadium me or 1st match ham logo ne asani se jita usi doran mere pair me mouch ayi thi pair achank se suja huwa tha night ko hamara final match tha to mujhe kisibhi taraha miss nahi karna tha esliye mene. Match ke pahle shoes ekdam jor se bande or bhagne nikla tabhi coach sir ne pucha ruk ruk ke q bhag raha hai to sir ko bola ki thoda pair me mouch aya hai, sir ne doctor ki salah di.
Game ka time thoda baki tha to mene dr ke sath hospital gaya or doctor ko bola mujhe jaldi thik karva do mera match hai to doctor ne xray ke liye bola to mene mana kiya taki koi problem na ho lekin kiya or jaldi match k liye ground gaya. Lekin tab tak hamari match last moment chal raha tha or mera match khelna o junun adhura rah gaya.
To iss prakar Anand Pokarde sir jinko pyar se log balu bhi bulate hai, unse se kuch baatein ki, awr unko dhero subhkamnaye di aage ki matches k liyea.
nice
Thank you very much for your kind words sir.